"Smooking is strictly prohibited" Yeh lafz bohat bar sunte parhte or dekhte hain magr ispe amal kon karta hai ye bat to sab jante hain yun to pakistan me qanoon tootna aam si bat hai qanoon k sath rules and regulation ka dehan b koi nahi rakhta chahe bus ho ya train sarak ho ya koi building jahan ye board wazeh tor pe laga ho wahan smooking rokne k bajae mazeed barha di jati hai! bahar hal ye to to bat zameen ki horhi hai pakistani ne to asmaan pe b na chora pia ki airline pk.308 khi to islamabad me ek ajeeb waqia dekhne ko mila jahan ek bare admi ka beta jahaz me betha cigarette ka dhuwan urra rha tha air hostess ne bar bar mana kiya to b baaz na aya smooking to roki nahi magar bechari k mun pe ek zor dar thappar mara jis se uske mun se bleeding hui ye to haal hai pakistan k bare logon k bigre hui nasal ka. Cigarrete yun to sehat k lie wese hi nuqsan deh hai jo na sirf khansi balke lungs cancer ka b bayis banti hai pine wale to sudherte nahi kamse kam jahan "No Smooking" ka board dekhen wahan apni cigarette ka dhuwan urane se baz ajana chahye ye b ek insani khidmat hai.
Nida Ali
No comments:
Post a Comment