Saadia university ki student thi,ek din us ki friend ne bataya k wo online job ker rahi hai aur achi salary leti hai aur ab wo apna business start kar rahi hai jis k liye usshe mahenati aur honest logon ki talaash hai.Tou saadia bhi us larki k stah online job kerne liye razi ho jati hai.Studies k sath online job kerna bhut mushkil hojata hai magar akhir main salary milne ki khuawish main wo din raat jagti,kabhi server down tou kabhi raat gae tak data update na hona rozana ka mamool hogaya tha jis ki waja se saadia kafi stress main rehne lagi thi.Ek din jb ussay salary milni thi,usse pata chala k site fake thi aur ab kuch nahi mile ga..saadia kafi pereshan rehne lagi,Waqt k sath sath pardhai ka bhi nuksaan hua.
Ye kahani kisi ek larki ki nahe balke un hazaron logon ki hai jo online jobs k zarye paise kamane chahte hain aur din raat kaam kerne k bad unhain ek dhaila bhi nahe milta.Data entry,add posting aur is trha ki jobs provide kerne wali 99%sites jaali nikalti hain.Ye companies pur-kashish salaries ka jhansa de ker entry fees k naam per saadah logon se paisa batorti hain aur apna kaam nikal wane k baad salaries dyne ki baari ati hai tou apnay offices samait k gayab hojati hain,phone numbers off hojate hain aur sites band ho jati hain,jis k baad log apna qeemti waqt,paisa aur neenden kharab kerne k baad apna udas munh le ker baith jate hain.
Is tarha ki fake sites,fake online jobs k liye laws muajood hain jo is terha k anaasir ko be-naqaab kerte hain aur unhe kaif-e-kirdar tak pohnchane me madad bhi kerte hain.Pakistan main cyber crimes se deal kerne k liye 2004 me Electronic Crime Act nafiz kiya gaya tha take Pakistan ki 99% awaam na-bald hai.Jis ki badulat cyber criminals apna kaam baghair kisi khauf k ker rahe hain.Zarurt is aamar ki hai k logon ko is terha k qanoon se aghaai di jae aur unhe maali nuqsaan se bachaya jae.
By:
Tayyaba Babar
No comments:
Post a Comment