Aurton ke
huqoq ki tehriko ke hawale se 21st century ko Aurton ki sadi bhi
kaha jata hai . Dunya bhar mai mukhtalif shobon mai aurten agey barh rahi hain.
Is ka asar sirf mayeshiyat aur siyasat pe nh parh rha balkey saqafat,media,rafahikamon,khel,taleem
aur science ke maidaan mai bhi aurten barh charh ke hissa le rhi hain . Isi ke
sath sath fasadaat aur tanazaat ke hawale se bhi agar dekha jae tou aurten aman
ke qayaam ke lye ziada awaaz uthati hain. Aur ek mutawazan maashre ke qayyam ki
talabgaar hain .
Aqwaame
mutehida ki janab se har saal 8March ko aurton ka aalmi din manaya jata hai. Aurton
ka benulaqwami din beeswi sadi ke shuru mai yemen aurton ke munazzam sargarmiyon
ke natije mai 1975 mai sarkari tor per is din ko manana shuru kardya. Har saal
ksi mozu ke tehet ye din manaya jata hai. Is saal ka mozu “Tabdeli ki tehreek
dena” hai. Aurton ki masawaat ke hawale se kafi kamyaabi hasil hui hain. Lakin
aaj bhi aurton pe tashudud , zulm jari hai. Humey is din ka jashan manate hue dunya
ki tawajja un shobon ki taraf bhi lagani hai jin mai behtri ki zarorat hai.
Aurton ka
aalmi din manate hue hum fakhar se dunya ko bata sakte hain ke muslim dunya k
pehli khatoon prime minister Pakistan ki thi.Benul aqwaami satah per aurton ke
lye 7qawaneen ban chuke hain, lakin aaj bhi rasmon riwaaj ke naam pe jis mai
sardari nizaam, jarga , panchaiton ke faisle ki bina per aurton pe sakht
mazalim dhae jarhe hain. Aurton pe kiye gae tashaddud pe nazar dali jae tou har
saal waqiyat mai izafa horha hai .2013 mai Sindh mai 40 aurton ko kaari qaraar
dekr qatal kea gya ,52 aurton ko gharelo tashaddud aur jismani maar peet ka
nishana banaya gya . Ye waqiyaat pareshan-kun bhi hain aur civil society aur
hukumat ke lye ek challenge bhi..
Is
21century mai aaj bhi bohat si aurten shaor aur taleem jese zewar se mehroom
hain, jis ki waja se na unaurton mai agahe hai, na he aane wali nasal mai jis
ke baaes hamara muaashra bad-haali ka shikaar hai. Aaj bhi yehe umeed qaaim hai:
Aane wala kal guzre hue kal se behter
hoga..
By:
Saman Khan
Uptodated news :-)
ReplyDelete