Urooj madrassay main mazhabi taleem laynay jaya
krti thi, ek din usay mazhab k rakhwalay nay kisi bahanay say chutti k dauraan
rok liya aur apni hawis ka nishana banaya. Is larki nay apnay maa baap ko iss
baray main bataya magar wo log dabay dabay
ehtejaaj kay siwa us shakhs kay sath
kuch na kar sakay, aur wo larki kuch arsay baad iss ghum say maut kay
mou main chali gae
Ye kahani kisi ek larki ki nahien, madaaris aur
school mein aaye din iss tarha kay
waqiyat daikhnay aur sun’nay mein atay rehtay hain, jin ko hum ek kaan say sunn
kr doosray kaan say nikal dayte hain, ye sochay bina kay ek bach’chi ya
bach’chay ki poori zindagi tabah hojati hai.
Ek survey report k mutabiq zeyadah tar larkiyan
is darindagi ka be-daraigh nishana ban
rahi hain, jo ke 18 saal say kum umr hoti hain. 2011 mein iss tarha ke waqiyat jo reports darj karaaye
ga’ien un mein sb say zeyadah tanaasub larkiyun ka tha. Agar hum soobaye bunyaad
par in cases ki jaanch partaal karein tou sab say zeyadah andoornay Sindh
mein ye waqiyaat ronuma hotay hain, us k baad KPK phir Balochistan aur uss kay
baad Islamabad sar-e-fehrist hai. Agar statistics ko daikhain tou pichlay saal
iss tarha k waqiyat main 25% izafa daikhnay main aaya hai. Dawn news paper kay
ek survey report k mutabiq 2.27%.2010 mein
2,255 jab kay 2011 mein 2303 cases report huey. Aur in waqiyat ki sharah mein taizi say izafa horaha
hay. Inn cases ki theek tadaad ka andazah karna is liye bhi mushkil hai kiyun kay zeyadah tar afraad apni
izzat ko bachanay ki khatir police stations
mein report darj he nahi karwatay, jab k ye amal darindagi ko barhawa
day raha hai, aur mujrim ab baghair kisi darr k apni darindah sift kaarwaiyan
karnay mein mashghool hain
Sirf rape cases he nahi tadreesi idaron main
bachon ko jismani or zehni aziat dena bht aam si baat hogai hai jiska notice
khud in bachon ke maa baap bhi nahi letey jiski wajah se wo farsuda khayalat
hain jo k humaray zehno mai jar pakar chukay hain k asatiza ko haq hai k wo
unko perhai k doran marr bhi saktay hai khwah wo kitni hi bedardi se q na
marain ,un sey poochneu wala koi nahi jab k is tarah ki jismani or zehni aziat
deny ki hunmara mazhab khud mazammat
kerta hai .
Ab agar hum baat kerain bachon oer in runuma
honay waley waqiat k asarat ki kistarah unkey kachey or masoom zehan asar andaz
horahy hain ,unko apni aanay wali
zindagi mai kistarah k masail ka samna hota hai ?? is tarah k bachay musalasal
zehni aziat ka shikar rehty hain , unka muashrey per se aitmad khtam hojata hia
, kisi had tak wo benaam dar or khof ka shikar rehny lag jatey hain or muashrey
mai apna kirdar theek se nibah nhi patey .
Ab zarorat is amr ki hai key ala satah per is trah k intizamat kiye jaien k in waqiat ki rok tham ki jasakey , kitabon k zariye bachion ko shaoor or agahi di jaye , ghar k barey afraad school or madaris janey waley bachon k sath dostana taluqat ustwar karein or unhain aitemad main laity huey unsey rozana ki karkerdagi poochain or zra sab hi koi shuba ho to foran notice lain . is tarah karney se bachon or ghar k baron k dermiyan khla kam hoga to khud he is tarah k waqiat mai kami ronuma hogi .
By:
Tayyaba Babar
No comments:
Post a Comment